Poetry Sms & Text Messages

Poetry Sms in urdu and hindi

find your partner online

(1) Kuch is Tarah say Ajj Mere


Kuch is Tarah say Ajj Mere Bazoun Main Aa..

Mery Adab Ko, Teri Haya Ko Khabar Na Ho..





Sms delivered (4336) Times

  Send this sms to ur mobile phone via text message


(2) Zulmat Kade Main Mere Shab-


Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai

Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai



Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal

Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai



Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be Hijaab

Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai



Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna

Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai



Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast

Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai



Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil

Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai



Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho

Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai



Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi

Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai



Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat

Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai



Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang

Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai



Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main

Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai



Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui

Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai



Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main

Ghalib Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai

 







(3) Humne Socha Shayad Hum hi c


Humne Socha Shayad Hum hi chahte hain unko,

Par unhe chahne walon ka to kafila nikla,

Dil ne kaha shikayat kar KHUDA se,

Par Khuda bhi unka chahnewala nikla





Sms delivered (2536) Times

  Send this sms to ur mobile phone via text message


(4) Manzil to mil hi jaigi bhat


Manzil to mil hi jaigi bhatak kar hi sahi

Nadaan tu wo hai jo ghar se niklte hi nahi





Sms delivered (3095) Times

  Send this sms to ur mobile phone via text message


(5) Mujh Se door Ho Tu Khud Ko


Mujh Se door Ho Tu Khud Ko Sambhaly Rakhna,

Log Pochein Gay Kiyon Preshan Ho Tum,



Kuch Nigahon Se kehna,Zubaan Pe Taaly Rakhna,

Na Khoney Deyna Merey Beetay Lamhon Ko,



Meri Yaadon Ko Baray Payar Se Sambhaley Rakhna,

Tum Loat Aao Ge Itna Yaqeen Hai Mujh Ko,



Merey Liye kuch waqt Nikaley Rakhna,

Hum Ne Kuch Naya Dekha Hai Tum Mein Phir,



Merey Liye Apny Andaaz Niraley Rakhna.







(6) Yeh tera mera milna Yun d


Yeh tera mera milna

Yun dilon ka khilna

Yeh hai khuda ki marzi

Yun hi nahi hain yaar



Yeh tera paas aana

Yun nazarein milana

Yeh hai khuda ki marzi

Yun hi nahi hai yaar



Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

O Tere bin tere bin dil naiyo lagta

Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

O Tere bin tere bin dil naiyo lagta



Yeh tera mera milna

Yun dilon ka khilna

Yeh hai khuda ki marzi

Yun hi nahi hain yaar



Yeh tera paas aana

Yun nazarein milana

Yeh hai khuda ki marzi

Yun hi nahi hai yaar



Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

O Tere bin tere bin dil naiyo lagta

Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

O Tere bin tere bin dil naiyo lagta



Dhadkan ki madhoshiyan

Badhti hain nazdeekiyan ek bahaane se

Ek tu hai bekhabar

Baaki sab ko khabar hai jahaanon mein



Saari uameed meri

Hongi mukammal tere ek nibhane se

Jodi sab ki milaaye

Rab jodiyan banaaye aasmanon mein

Aasmanon mein



Yeh tera mera milna

Yun dilon ka khilna

Yeh hai khuda ki marzi

Yun hi nahi hain yaar



Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

Ho Tere bin tere bin dil naiyo lagta

Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

Ho Tere bin tere bin dil naiyo lagta



Bechaniyon ke yeh pal

Kyun jaan-e-jaan aaj-kal yun sataate hain..

Tere ishq mein mujhse

Beqaraiyan mili hain nazranon mein



Yaadon ke lamhaat bhi

Tujhko hi ab har kaheen

Kyun bultaate hain

Dil ki anjuman mein tum

Tum hi hi rehti ho mere afsanon mein

Afsanon mein..



Yeh tera mera milna

Yun dilon ka khilna

Yeh hai khuda ki marzi

Yun hi nahi hain yaar



Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

O Tere bin tere bin dil naiyo lagta

Tere bin, tere bin dil naiyo lagta

O Tere bin tere bin dil naiyo lagta







(7) سنو ..!!

سنو ..!!
محبت بوڑھی نہیں ھوتی
انسان بوڑھے ھو جاتے ہیں
ہر لمحہ اسکی تمازتوں میں
پگھلنا کا جنوں بڑتا رہتا ھے
دوری بے معنی ھو جاتی
محبت جب سوچوں پہ چھا جاتی ھے
جسم و روح جب یاد یار میں محو زکر ھو جاتے ہیں ..
سنو محبت مٹتی نہیں ھے
بڑھتی ھے
ہر گزرتے پل
قرب کی، وصال خواہشیں انگڑائیاں لیتی ہیں
پہلو یار میں بیٹھے
سرگوشیوں کی خواہش
لمس کا احساس .. جذبوں کو ماند نہیں پڑنے دیتا..
سنو ..!!
محبت بوڑھی نہیں ھوتی ..!!!




(8) Wöh ki§i äur kä högä tou Qäyäm

Wöh ki§i äur kä högä tou Qäyämät hö gi
Phir kisi kö bhi kisi se nä muhäbbät hö gi

Usy dekhäy köi ächä nähi lägtä mujh kö
is se bärh kar bhi köi åur muhäbbät hö gi

Räät käl chäänd kö dekhä töu yéh ehsääs huä
Wöh äkelä håi usåy meri zärurät hö gi

Aey “KHUDA” uskö kisi äur kä höne nä denä
Zindägi bhär mujhe phir tujh säy shikäyät hö gi.





(9) Wo Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo

Wo Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare
Main Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahun Khuda Na Kare

Rahega Sath Tera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat Meri Zindagi Wafa Na Kare

Ye Theek Hai Nahin Marta Koi Judaai Mein
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Juda Na Kare

Agar Wafa Par Bharosa Rahe Na Duniya Ko
To Koi Shakhs Mohabbat Ka Hausla Na Kare

Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hai
Jo Dil Pe Chott To Khae Magar Gila Na Kare

Bujha Diya Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand,
Koi Diya Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare.

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai Usey
‘Qateel’ Jaan Se Jae Magar Ilteja Na Kare




(10) Kyun Aankh Mai Behty Huay Ashk

Kyun Aankh Mai Behty Huay Ashkoon Ki Lari Hai,
Chup Reh Mery Ham Watan Qiyamat Ki Ghari He,


Hota He Kuch Gumaan Sa maidaan-e-hashar Ka,
Har Aik Musalman Ko Apni Hi Pari Hai,


Mit Jaye Mera Dais Ye Halaat Bana Kar,
Atraaf Ki Har Kom Tamashy Pe Khari Hai,


Phir Surkh Surkh Hai Mery Daryaon Ka Pani,
Lagta Hai Kaheen Khon Ki Barsaat Pari Hai,


In Zalimon Ko Jarr Se Mita De Ay Mere RAB,
Sab Hath Uthao K DUAOON Ki Ghari Hai




Go To Page >> [1] [2] [3] [4] [5] [6] [7] [8] [9] [10] [11] [12] ....[Last]

Post to Forum :

Post to Website - just copy paste following code :

<a href=https://www.evergreensms.com/urdu_sms/110/Urdu-Poetry-Sms/> Poetry  SMS & Text Messages</a>

Important Searches:

  • Poetry sms in urdu
  • Best Poetry Sms Collection
  • Latest Poetry sms
  • Pakistani Poetry sms in urdu
  • Real Poetry sms in urdu
  • Urdu Poetry sms for you
  • Unique Poetry sms in urdu
  • sending Poetry sms to pakistan